Sher Shaayari

Love Shayari
Showing posts with label Funny Shayari. Show all posts
Showing posts with label Funny Shayari. Show all posts

Shayari muqabla - shayarana andaaz



Ye mujho khabar hai ke nahi mujheme koi gun
lekar ke mai aya hu yaha aaj nayi dhun
Tu apni ghazal padhke khisakta hai kidhar ko
maine to tujhe sunliya .ab.tubhi to mujhe sun




Funny Shayari Ever

Rokdete hai achanak mere halaat mujhe
Meri khwahihsh kabhi hoti nahi poori koi
Khudkhushi karne ka jis roz bhi irada karloun
Kaam padhjata hai us roz zaroori koi.....:)



Shaadi ke baad ka haal - Funny shayari - comedy shayari



6 mahine me hi ye haal kiya hai biwi ne
saal bhar baad to shayad hum khayaloun me mile
istarah rakhti hai hume wo dabakar ghar me
jistarah sukhe hue phool kitaboun me mile



Funny Ishq shayari



chandu joseph, Arif aur mukhtaar pagal hogaye
pyar se jab usne dekho to char pagal hogaye
mai bhi use dekhe abhi pagal hone ko hi tha
mujhse pehle mere barquddar pagal hogaye

Danger ishq shayari - Mazaqiya shayari




Hamara ishq hai ye 7waan kallan pahalwaan ki ladki se,
mohalle me pata chaley to khoraam hojaye,
hum apne jeb me moumbatti liye gharse nikalte hain,
najane kis gali me is zindagi ki shaam hojaye.

Friendship Shayari - Funny dosti ki shayari - Shaadi funny shayari - Valima shayari sms - Shaadi sms



Dostoun ke saamne hum phir tamasha bangaye
aur hamare armanou ka kEEma hogaya
apne DOST se mila ke usko pachtaye gaye hum
3 din ke baat mere us dost ka VALima hogaya


Dil to Bacha hai Ji - Budhapa aur ishq shayari



Zubeda.. karishma... kareena... naseema..
chalo aaj subko dikhado cinema
meri umr kya hai kyun puchti ho
kabhi ishq ka joosh hota hai kya dheema


Funny Shayari- kabhi isey to kabhi usey patake chor diya


kabhi isey to kabhi usey patake chor diya
Lazeez khana mila hum ne kha ke chor diya
ab uski marzi hai roshan rahe ya bujh jaye
charaag humna hawa me jala ke chor diya

Raja Rani Shayari - Funny Shayari

Sunno Sunno ek prem kahani
Ek tha Raja aur ek thi raani..
Dono margaye khatam kahani..

.
.
.
.
..
.
Neeche kya dekhrahe ho..unki dead body?
bola na khatam kahani...


Funny Shayari for friends - Aapke paas dimaag hai ?

Aapke paas dimag hai..chalta nahi alag baat hai...

Aap smart hai, koi manta nahi hai alag baat hai...

Aap shareef hai..lagta nahi alag baat hai...

Kaafi izzat hai apki,.......koi karta nahi alag baat hai. ;)

Shayari on Food - Hungry Comedy Shayari

Bhoook lagi hai hume isqadar :-(
lao koi bhi Veg biryani, with gajar, mooli ya tamatar
wada karte hai hum khayeinge ji bharkar
aur hamari pet ki dua se chamke ga aapka muqaddar.



Winter Shayari - Sardi Shayari sms

Unse milne ki Tarkeeb nakaam hogayi
Subha se intezaar kiya, shaam hogayi
Dostau ne farmaya tha, itni subha jaana bekaar hai,
Sardi ka mausam tha Zukaam hogayi :-(


Funny Shayari For Girlfriends


Aawaaz aapki hai mere dil ki ringtone
kaan aapke hai jaise mere headphones
kabhi na karna switch off apna cell phone
warna kardenge aapko under DANGER ZONE

Comedy shayari

Toote hue dil ka tuney murrabba banadiya,
Mere gharko tune kachre ka dabba banadiya,
shaadi karke sirf3 mahine hi hue..
kis hisaab se tuney mujhe ABBA banadiya

Na khat, na email, na message - funny shayari sms


Na khat, na email, na message, na sms aur na hi koi paighaam
Na jaane kaha chaley gaye tum pata nahi hume wo muqaam
aaaj karte hai hum public me ye elaaan
jo bhi aapko pakad kar laye osey milega 2 rupiye inaam.

A nice ENGLISH ALPHABETS POEM - Funny Shayari for kids

A nice ENGLISH ALPHABETS POEM



"O" "B" "B" "G"

"T" "P" 'O" "G"

"P" "K" "I" G"

"P" "O" "G" "P" "O".

------

o bi bi ji
Tea piyo ji
peeke aayi ji
peeo gi peeo.

Wo chaand si ladki, zulfein uski kaali

Wo chaand si ladki, zulfein uski kaali
Oski chaal aisi mano hirni si matwali
Oski adaa is jahan se niraali…
Par ab kya karoon wo ladki, jo maine pehley patali.

Dil Ka kaha ek kaam kardo

Dil Ka kaha ek kaam kardo,
ye Pyari si muskurahat mere naam kardo
Aaj dunya pe ek ehsaan kardo Ghar se na niklo,
aur pure muhalle ko hairaan kardo